aa gaya yaad khuda aakhir-kar uth gaya dast-e-dua aakhir-kar hum ki the sarkash-o-maghrur bahut sar jhukana hi pada aakhir-kar kan se jo na suna tha pahle aankh se dekh liya aakhir-kar dil mein ab koi tamanna na rahi bujh gaya ye bhi diya aakhir-kar aae jis ke bhi qadam dharti par ek din mar hi gaya aakhir-kar