baadh aai ganw ko dariya baha kar le gaya

badh aai ganw ko dariya baha kar le gaya
ek pyasa dusre pyase ko aa kar le gaya

ruh mein sadiyon ka sannata basa kar le gaya
main jo arz-e-shahr se sahra utha kar le gaya

zehn ki almariyon mein dhul si udne lagi
koi alfaz-o-maani sab chura kar le gaya

rah gaya qaem phir us ki pak-bazi ka bharam
phir wo ek shaitan se khud ko bacha kar le gaya

pahle ki manind lutf-e-abla-pai nahin
kaun meri rah ke kante utha kar le gaya

kaudiyon ke mol 'tahir' bik gai jins-e-hunar
mal-e-muflis har koi qimat ghata kar le gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close