ye kaisi baat mera mehrban bhul gaya kumak mein tir to bheje kaman bhul gaya junun ne mujh se taaruf ke marhale mein kaha main wo hunar hun jise ye jahan bhul gaya kuchh is tapak se rahen lipat padin mujh se ki main to samt-e-safar ka nishan bhul gaya khumar-e-qurbat-e-manzil tha na-rasi ka jawaz gali mein aa ke main us ka makan bhul gaya har ek badalti hui rut mein yaad aata hai wo shakhs jo mera nam-o-nishan bhul gaya kuchh aisi baat kabutar ki aankh mein dekhi uqab khauf ke mare udan bhul gaya main sar-ba-kaf sar-e-maqtal kuchh is ada se gaya ki mera dushman-e-jaan aan-ban bhul gaya qabail aaj bhi shir-o-shakar nazar aate khatib-e-shahr magar wo zaban bhul gaya zamin ki god mein itna sukun tha 'anjum' ki jo gaya wo safar ki thakan bhul gaya