aa jao ki mil kar hum jine ki bina dalen ye bar-e-hayat ai dost uthne ka nahin tanha duniya pe musallat hai auham ki tariki hum hain ki jalae hain ek sham-e-yaqin tanha muhtaj-e-tawajjoh hain kuchh aur masail bhi kyun zehn mein phirti hai ek nan-e-jawin tanha har murgh-e-khush-alhan ab parwaz pe mail hai gulshan mein na rah jae sayyaad kahin tanha sajde dar-e-jaanan par lakhon ne kiye lekin mear-e-wafa thahri meri hi jabin tanha ek husn-e-tasawwur hai jo zist ka sathi hai wo koi bhi manzil ho hum log nahin tanha nazdik 'hafiz' is ke rind aaen to kya aaen jagir hai zahid ki sarmaya-e-den tanha