bhagte sayon ke pichhe ta-ba-kai dauda karen zindagi tu hi bata kab tak tera pichha karen ru-e-gul ho chehra-e-mahtab ho ya husn-e-dost har chamakti chiz ko kuchh dur se dekha karen be-niyazi khud sarapa iltija ban jaegi aap apni dastan mein husn to paida karen dil ki tha khush-fahm aagah-e-haqiqat ho gaya shukr bhejen ya teri bedad ka shikwa karen mughbachon se mohtasib tak saikdon darbar hain ek saghar ke liye kis kis ko hum sajda karen tishnagi had se badhi hai mashghala koi nahin shisha-o-saghar na toden baada-kash to kya karen dusron par tabsira farmane se pahle 'hafiz' apne daman ki taraf bhi ek nazar dekha karen