aa kar najat bakhsh do ranj-o-malal se dil mutmain nahin hai tumhaare khayal se uf gardish-e-nasib ki hoshyar ho ke bhi mahfuz rah sake na zamane ki chaal se ye kyun kahun ki mujh se unhen pyar hai magar ek wasta zarur hai mere khayal se tha kaun ye khabar nahin bas itna yaad hai takrai thi nigah kisi ke jamal se dil-bastagi ki us se koi kya kare umid jo khelta raha ho dil-e-paemal se aisa na ho ki aise hi ban jaen aap bhi mat kijiye gurez kisi khasta-haal se jata rahega 'shauq' tadapne ka ab maza gham badh raha hai aaj had-e-e'tidal se