hath uthata hun main ab dua ke liye tum bhi aamin kahna khuda ke liye mujh ko is nim-jaan dil pe hairat hai jo zindagi chahta hai khata ke liye aafaten jis qadar ho sakin bakhsh do waqf hai dil mera har bala ke liye mujh tak aane mein zahmat na ho lao main rah hamwar kar dun qaza ke liye naql-e-fariyaad se meri kya faeda kuchh asar bhi ho dil ki sada ke liye ibtida gham ki jab ban gai zindagi mujh ko marna pada intiha ke liye 'shauq' un ke sitam ki latafat na puchh dil tadapta hai ab tak jafa ke liye