wo le ke dil ko ye sochi kahin jigar bhi hai nazar tatol rahi hai ki kuchh idhar bhi hai hanso na khol ke zulfen bala-nasibon par bala-nasib jahan mein tumhaara sar bhi hai wo bigde sun ke magar sun to li hamari aah ye be-asar hi nahin balki ba-asar bhi hai junun ko wo banawat samajh raha hai abhi ye sun liya hai kisi se ki mere ghar bhi hai firaq mein ye naya tajraba hua mujh ko ki ek raat zamane mein be-sahar bhi hai ye kah ke hashr se bhaga main apna ji le kar ilahi khair yahan to wo fitna-gar bhi hai mujhe to aap mein is waqt tum nahin milte kahan ho 'shauq' kuchh apni tumhein khabar bhi hai