kash mere dubne ka wo bhi manzar dekhta lekin is ko kya padi thi kyun palat kar dekhta dushmanon se khauf khata umr bhar main bhi agar doston ki aastinon mein na khanjar dekhta shahr se nikle hain hum kis jurm ki padash mein ye to us ko dekhna tha wo sitamgar dekhta main tha shahin sab ki nazren thin meri parwaz par kaun ab aa kar mere tute hue par dekhta mai-kashi ka hum pe gar ilzam hai to ho 'asir' koi aise zindagi bhar zahr pi kar dekhta