aa ke sahil ke qarin jata hun sahil se pare aa ke manzil par chala jata hun manzil se pare apni manzil par pahunch kar sochne lagta hun main uf re wo manzar suhana hai jo manzil se pare dekh wo lahron ka manzar dekh wo tufan ka khel dekh ai sahil-nashin kya shai hai sahil se pare raat-din deti hi rahti hai tere jawon ka lutf wo jo ek taswir rakkhi hai kahin dil se pare dekh ai shauq-e-nazar nazzara-ha-e-dil-fareb parda-ha-e-jurat-amoz us ke mahmil se pare