chup baitha mein akasr sochta rahta hun aakhir main kyun itna tanha tanha hun pahron jin ki jhil mein khoya rahta tha un aankhon ki yaad mein duba rahta hun tum jo baaten bhul chuke ho muddat se main to un mein ab bhi uljha rahta hun tum badlo to badlo apni rah magar main to ek dagar par chalta rahta hun sada-pan kuchh neki hi ka nam nahin dekhne mein to main bhi sidha-sada hun tere ghar bhi pahuncha hai ye shor kabhi ya main hi anjaan sadaen sunta hun ghar ki diwaron mein yun dil tang na ho dhundh mujhe main is ghar ka darwaza hun jis ne pyar se dekha us ke sath hua sach puchho to main bhi ab tak bachcha hun 'anjum' main kyun duniya par ilzam rakhun aankhen hain to phir kyun thokar khata hun