guzre lamhat ka ehsas hua jata hai daman-e-waqt yunhi mujh se chhata jata hai main ujale ko mohabbat ka khuda likhta hun wo andhere hi se manus hua jata hai jis ki khushbu se fazaon mein mahak thi shab-bhar subh-dam us ki taraf sanp badha jata hai mujh ko dar hai koi aabid na bahak jae kahin dil-ruba chand ka andaz hua jata hai dur rah kar bhi rag-e-jaan se lipat jate hain aur is dil mein ujala sa hua jata hai is qadar zahr pilaya mujhe us ne 'alam' talkhi-e-zist ka ehsas mita jata hai