ab aur chalne ka is dil mein hausla hi na tha ki shahr-e-shab mein ujale ka shaiba hi na tha main us gali mein gaya le ke zoam-e-ruswai magar mujhe to wahan koi jaanta hi na tha gudaz-e-jaan se liya main ne phir ghazal ka suragh ki ye charagh to jaise kabhi bujha hi na tha koi pukare kisi ko to khud hi kho jae hua to hai magar aisa kabhi suna hi na tha kise kahen ki rifaqat ka dagh hai dil par bichhadne wala to khul kar kabhi mila hi na tha musafiron ko kai wahime satate hain thaharte kya ki darichon mein to diya hi na tha damak utha tha wo chehra haya ki chadar mein ki jaise jurm-e-wafa us ka muddaa hi na tha hamare hath faqat ret ke sadaf aae ki sahilon pe sitara koi raha hi na tha