aab-e-dariya hun pyas bhi hun main

aab-e-dariya hun pyas bhi hun main
sab masaib se ab bari hun main

shab-nigahban ab teri hun main
surkh-ru rah ki jagti hun main

har waraq par milegi pyas tumhein
ek rudad-e-tishnagi hun main

wasl kuchh yun bhi hai takhayyul mein
hijr ke git ga rahi hun main

kal amiri thi main masarrat ki
aaj daulat ki muflisi hun main

main hun ek munhadim sa darwaza
dastan intizar ki hun main

wo sitara hai sham ka awwal
raat ki aakhiri ghadi hun main

jo sada ku-e-jaan se aati hai
us ko duniya mein dhundhti hun main

sahib-e-raushni hai wo 'mira'
dam-ba-dam ek tirgi hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close