aawaz ke hamrah sarapa bhi to dekhun

aawaz ke hamrah sarapa bhi to dekhun
ai jaan-e-sukhan main tera chehra bhi to dekhun

dastak to kuchh aisi hai ki dil chhune lagi hai
is habs mein barish ka ye jhonka bhi to dekhun

sahra ki tarah rahte hue thak gain aankhen
dukh kahta hai main ab koi dariya bhi to dekhun

ye kya ki wo jab chahe mujhe chhin le mujh se
apne liye wo shakhs tadapta bhi to dekhun

ab tak to mere sher hawala rahe tera
ab main teri ruswai ka charcha bhi to dekhun

ab tak jo sarab aae the anjaane mein aae
pahchane hue raston ka dhoka bhi to dekhun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close