raaz-e-darun-e-astin kashmakash-e-bayan mein tha aag abhi nafas mein thi shoala abhi zaban mein tha wo jo kahin tha wo bhi main aur jo nahin tha wo bhi main aap hi tha zamin par aap hi aasman mein tha lams-e-sada-e-saz ne zakhm nihaal kar diye ye to wahi hunar hai jo dast-e-tabib-e-jaan mein tha khwab-e-ziyan hain umr ka khwab hain hasil-e-hayat is ka bhi tha yaqin mujhe wo bhi mere guman mein tha khanjar o dashna o sinan ye to bahane hain miyan aap na sharmsar hon zakhm sirisht-e-jaan mein tha hadd-e-guman se ek shakhs dur kahin chala gaya main bhi wahin chala gaya main bhi guzishtagan mein tha