aab ki tasir mein hun pyas ki shiddat mein hun abr ka saya hun lekin dasht ki wusat mein hun yun to apna lag raha hai jism ka ye ghar mujhe ruh lekin kah rahi hai dekh main ghurbat mein hun aur to apni khabar hai sab mujhe is ke siwa kaun hun kyun hun kahan hun aur kis haalat mein hun yaad bhi aata nahin kuchh bhulta bhi kuchh nahin ya bahut masruf hun main ya bahut fursat mein hun main hua bedar to har shakhs ye kahne laga nind mein hun khwab mein hun ya kisi ghaflat mein hun zindagi ne kya diya tha maut ne kya le liya khak se paida hua tha khak ki sohbat mein hun