aab o hawa hai barsar-e-paikar kaun hai mere siwa ye mujh mein giraftar kaun hai ek raushni si rah dikhati hai har taraf dosh-e-hawa pe sahib-e-raftar kaun hai ek ek kar ke khud se bichhadne lage hain hum dekho to ja ke qafila-salar kaun hai bosidgi ke khauf se sab uth ke chal diye phir bhi ye zer-e-saya-e-diwar kaun hai qadmon mein sae ki tarah raunde gae hain hum hum se ziyaada tera talabgar kaun hai phaila raha hai daman-e-shab ki hikayaten suraj nahin to ye pas-e-kohsar kaun hai kya shai hai jis ke waste tute pade hain log ye bhid kyun hai raunaq-e-bazar kaun hai ai dil ab apni lau ko bacha le ki shahr mein tu jal-bujha to tera aza-dar kaun hai ab tak isi khayal se soe nahin 'salim' hum so gae to phir yahan bedar kaun hai