teri talash mein guzre kai zamane mujhe khuda hi jaane tu jaane hai ya na jaane mujhe dhuan dhuan hain jahan par khayal ki rahen misal-e-gard udaya teri hawa ne mujhe na is tarah mujhe dekho ki jaise patthar hun jo ho sake to pukaron kisi bahane mujhe wo baat baat pe hansna teri ada hi sahi tamam umr rulaya hai is ada ne mujhe laga hai jab bhi koi zakhm muskuraya hun ye tab di hai tere dard-e-la-dawa ne mujhe tasawwuraat ke sahra mein jal bujha hun 'salim' na chhanw bakhshi kisi husn-e-gul-rida ne mujhe