aabaadiyon mein dasht ka manzar bhi aaega guzroge shahr se to mera ghar bhi aaega achchhi nahin nazakat-e-ehsas is qadar shisha agar banoge to patthar bhi aaega sairab ho ke shad na hon rah-rawan-e-shauq raste mein tishnagi ka samundar bhi aaega dair o haram mein khak udate chale chalo tum jis ki justuju mein ho wo dar bhi aaega baitha hun kab se kucha-e-qatil mein sar-nigun qatil ke hath mein kabhi khanjar bhi aaega sarshaar ho ke ja chuke yaran-e-mai-kada saqi hamare nam ka saghar bhi aaega is waste uthate hain kanton ke naz hum ek din to apne hath gul-e-tar bhi aaega itni bhi yaad khub nahin ahd-e-ishq ki nazron mein tark-e-ishq ka manzar bhi aaega rudad-e-ishq is liye ab tak na ki bayan dil mein jo dard hai wo zaban par bhi aaega jis din ki muddaton se hai 'naushad' justuju kya jaane din hamein wo mayassar bhi aaega