nazar jo aate hain auron ko khasta-haal bahut wahi to shahr mein hain sahab-e-kamal bahut wo jin ki fikr-o-nazar ke hain daere mahdud har ek baat pe karte hain wo sawal bahut ye tirgi-e-shab-e-wasl mujh se kahti hai charagh-e-hijr ke bujhne ka hai malal bahut dar-e-hayat khulega kabhi to mere liye isi umid pe guzre hain mah-o-sal bahut mere zawal mein pinhan uruj hai tera tujhe uruj mubarak mujhe zawal bahut bade-badon ki bhi dastar girne wali hai hawa-e-shahr-e-hawas mein hai ishtial bahut tamam-shahr se 'naushad' dushmani hai jise wo shakhs rakhta hai har-pal mera khayal bahut