aadab-e-ashiqi se begana kah rahi hai meri nazar mujhi ko diwana kah rahi hai har aah-e-sirr-e-paiham dil se nikal nikal kar dil ki tabahiyon ka afsana kah rahi hai is darja hai musallat diwangi ka aalam diwangi bhi mujh ko diwana kah rahi hai ye inqilab-e-dauran ye aish-o-gham ke unwan goya zaban-e-fitrat afsana kah rahi hai meri zaban unhin se un ke sitam ka qissa yun dab ke kah rahi hai goya na kah rahi hai ai barq-e-fitna saman unwan taza koi ye kya suna sunaya afsana kah rahi hai hun zinda ek muraqqa main surat-afrin ka duniya 'shakil' mera afsana kah rahi hai