zinda rahna hai to sanson ka ziyan aur sahi raushni ke liye thoda sa dhuan aur sahi subh ki shart pe manzur hain raaten hum ko phul khilte hon to kuchh roz khizan aur sahi khwab tabir ka hissa hai to so kar dekhen sach ke idrak mein ek shahr-e-guman aur sahi wo barush aur main rota hun qalam se apne dard to ek hain donon ke zaban aur sahi kat gae apni hi mitti se to jaldi kya hai ab zamin aur sahi aur makan aur sahi