aadmi na itna bhi dur ho zamane se subh ko juda samjhe sham ke fasane se dekh tiflak-e-nadan qadr kar buzurgon ki gutthiyan na suljhengi mazhaka udane se zakhm-e-sar ke diwane zakhm-e-dil ka qail ho zindagi sanwarti hai dil pe chot khane se mutrib-e-junun-saman tu na chhed ye naghma dhun kharab hoti hai tere gungunane se garmi-e-sukhan se kuchh kaam ban nahin sakta mil hi jaegi manzil do-qadam badhane se