zindagi meri kabhi gham se juda ho na saki dard badhta hi gaya aur dawa ho na saki zindagi main ne bahut naz uthae tere ye alag baat ki tujh se hi wafa ho na saki jaane kis daur mein kya jurm kiya tha hum ne zindagi bit gai khatm saza na ho saki phul hi phul hain har shakh-e-gulistan pe magar meri taqdir hi afsos rasa ho na saki sath sab chhod gae hijr mein mera lekin kyon teri yaad mere dil se juda ho na saki aadmi tut gaya justuju karte karte zindagi dam-e-musibat se riha ho na saki bichh gai dhup har ek samt ujalon ki magar dur dil se mere zulmat ki ghata ho na saki sochta rahta hun aksar shab-e-tanhai mein zindagi kyon meri marhun-e-dua ho na saki kya ajab chiz hai izhaar-e-mohabbat bhi 'sahar' baat lamhon ki thi sadiyon mein ada ho na saki