aadab-e-zabt-e-ishq na ruswa kare koi apni bisat dekh ke sauda kare koi kya taur har faraaz se uthe ghubar-e-shauq wo soz-e-ishtiyaq to paida kare koi karte hain gham se manjh ke fitrat ko aab-dar kar-e-junun mein hum se ifada kare koi utthe dahan-darida sabhi dawedar-e-ishq ab kya kisi ke ishq ka dawa kare koi guzri hai bar-bar saba ek maqam se shayad kabhi idhar ka irada kare koi aisa na ho ki zabt ke aadab se bhi jaen is darja iltifat na barta kare koi