aadam hai na hawwa hai zaman hai na zamin hai wo kaun hai jo kun mein magar parda-nashin hai mana ki nahin hun tere altaf ke qabil tu phir bhi mere haal se ghafil to nahin hai banda hun tera ghaib pe iman hai mera auron ko na ho mujh ko magar tera yaqin hai shahon ke bhi tajon ko laga deta hai thokar ye banda-e-na-chiz jo ek khak-nashin hai tha hind ki jaanib mere aaqa ka ishaara khushbu-e-mohabbat to hamesha se yahin hai mana ki mera lut gaya sarmaya khushi ka ek dard ki daulat to abhi mere qarin hai ahbab ke bartaw ko mein kaise bhulaun be-kar tasalli gai dil phir bhi hazin hai aasan nahin rah-e-wafa dekh ke 'jami' taklif kahin bhuk kahin pyas kahin hai