jafa-e-yar ko hum lutf-e-yar kahte hain khizan ko apni zaban mein bahaar kahte hain wo ek sunte nahin hum hazar kahte hain magar fasana bahar-e'tibar kahte hain zamana qaid ko samjhe hue hai aazadi kisi ke jabr ko hum ikhtiyar kahte hain qafas mein rah ke mujhe ye bhi imtiyaz nahin kise khizan kise fasl-e-bahaar kahte hain nafas nafas jo payam-e-hayat deti hai usi nazar ko taghaful-shiar kahte hain tumhaare husn ki jis dil ko raushni na mile hum aise dil ko charagh-e-mazar kahte hain teri nigah-e-taghaful se dil ne paya hai wo ek kaif jise intizar kahte hain mohabbat aur mohabbat mein aarzu-e-visal hum is bahaar ko nang-e-bahaar kahte hain khadang-e-naz abhi hai tumhaari chutki mein na jaane log mujhe kyun 'figar' kahte hain