aisa nahin ki ek mera ghar udas hai tere baghair jo bhi hai manzar udas hai koi asar dikha na saka fan ka moajiza apne buton ko dekh ke aazar udas hai pahlu-e-sang mein bhi hai ek dard-mand dil wahshi ke sar ko phod ke patthar udas hai jis ne kiya tha qatl kisi be-gunah ka apne kiye pe ab wahi khanjar udas hai khamosh sath-e-ab hai maghmum hai faza kashti ko gharq kar ke samundar udas hai jis dil ke aaine mein nahin aks-e-ru-e-dost us dil ke aaine ka muqaddar udas hai saqi ki be-niyazi-e-paiham ko dekh kar 'jauhar' hayat-e-ishq ka saghar udas hai