aadat meri duniya se chhupane ki nahin thi wo baat bhi kah di jo batane ki nahin thi main khush hun bahut gard ko aaine pe rakh kar di wo mujhe surat jo dikhane ki nahin thi hum kha gae dhoka teri aankhon ki nami se wo chot dikha di jo dikhane ki nahin thi achchha hua nind aa gai arbab-e-wafa ko aage ye kahani bhi sunane ki nahin thi yun dil ko kiya shoala-e-gham tere hawale is ghar mein koi chiz bachane ki nahin thi kuchh is liye apna na saka is ko zamana 'saulat' ki jo aadat thi zamane ki nahin thi