guzar ke ishq ki had se bhi kuchh ye aalam hai ki jaise ishq abhi un ke husn se kam hai adu ka ghar hai teri rah mein to kya gham hai suna hai khuld ke raste mein bhi jahannam hai ye waqt kal na rahega rahenge yaad ye din sitam ki umr ziyaada hai zindagi kam hai wo apne zulm se khud bhi na rah sake mahfuz jabin par aaj na bal hai na zulf mein kham hai ibaadaton ke liye fursaten hain logon ko hamein gunah bhi karne ko zindagi kam hai