buto kuchh had bhi hai jaur-o-jafa ki

buto kuchh had bhi hai jaur-o-jafa ki
hai aakhir intiha har ibtida ki

jagah kya ho in aankhon mein haya ki
bhari ho jin mein shokhi intiha ki

shab-e-gham aane mein karti hai ghamze
ada bhati nahin mujh ko qaza ki

mera dil le ke ab mujh par ye zulm aah
dagha ki tu ne o zalim dagha ki

maza hai mai-kashi ka abr mein aaj
falak parchhai hai rahmat khuda ki

buton ki mehrbani kya karam kya
inayat chahiye mujh par khuda ki

tujhe o bewafa chaha hui chuk
tujhe dil ne diya main ne khata ki

ye kyon udta hai chehre ka mere rang
hui kis shokh ko hajat hina ki

wo lenge jaan bhi wan le ke ek din
khabar thi ibtida mein intiha ki

chala dil kucha-e-gesu ko jis dam
dua ki padh ke dam radd-e-bala ki

gae the wo jahan hum dhundh lete
madad milti jo un ke naqsh-e-pa ki

dil-e-muztar ki kuchh haalat na puchho
tadap bijli mein hai aaj intiha ki

jab aate hain chadha jate hain do phul
wo turbat par 'fahim'-e-mubtala ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close