aadhi raat ke sapne shayad jhute the ya phir pahli bar sitare tute the jis din ghar se bhag ke shahr mein pahunchi thi bhag bhari ke bhag usi din phute the mazhab ki buniyaad pe kya taqsim hui ham-sayon ne ham-sae hi laute the shokh-nazar ki chutki ne nuqsan kiya hathon se chae ke bartan chhute the odh ke phirti thi jo 'nainan' sari raat is resham ki shaal pe yaad ke bute the