chhanTi ke chaar log hain jin se kalam hai

chhanti ke chaar log hain jin se kalam hai
baqi hasad-zadon ko namaste salam hai

ja buzdila hamein na dikha doston ke zakhm
hum wo faqir hain jinhen ghibat haram hai

aansu bhi ek dasht ki bai'at ko aae hain
wo dasht jis ke sabr ka dariya ghulam hai

al-qissa mukhtasar ki mujhe nind aa gai
mazdur ka visal abhi na-tamam hai

achchhe nasab ke dushmanon ki khair mangiye
kante na hon to phul ka bhi kya maqam hai

main bhi khuda se teri shikayat lagaunga
aur ye gharib aadmi ka intiqam hai

mitti jane charagh hasad mein hi jal mare
suraj ko aaj raat bhi jugnu se kaam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close