aadhon ki taraf se kabhi paunon ki taraf se aawaze kase jate hain baunon ki taraf se hairat se sabhi khak-zada dekh rahe hain har roz zamin ghatti hai konon ki taraf se aankhon mein liye phirte hain is dar-badari mein kuchh tute hue khwab khilaunon ki taraf se phir koi asa de ki wo phunkarte nikle phir azhdahe firaun ke tonon ki taraf se tu wahm-o-guman se bhi pare deta hai sab ko ho jata hai pal bhar mein na honon ki taraf se baaton ka koi silsila jari ho kisi taur khamoshi hi khamoshi hai donon ki taraf se phir baad mein darwaza dikha dete hain 'adil' pahle wo uthate hain bichhaunon ki taraf se