ab tutne hi wala hai tanhai ka hisar ek shakhs chikhta hai samundar ke aar-par aankhon se rah nikli hai tahtush-shuur tak rag rag mein rengta hai sulagta hua khumar girte rahe nujum andhere ki zulf se shab bhar rahin khamoshiyan sayon se ham-kanar diwar-o-dar pe khushbu ke haale bikhar gae tanhai ke farishton ne chumi qaba-e-yar kab tak pade rahoge hawaon ke hath mein kab tak chalega khokhle shabdon ka karobar