aadmi aur dard se na-ashna mumkin nahin aks se khali ho koi aaina mumkin nahin aadmi insan-e-kaamil ban to sakta hai magar zindagi bhar rah sake wo parsa mumkin nahin do kinare jaise dariya ke nahin milte kabhi hum se iqdam-e-jafa un se wafa! mumkin nahin kar-farma jab rahe barq-e-nazar aathon pahar shahr bhar mein ho na koi hadsa! mumkin nahin kis qadar himmat-shikan hai gumrahi ka ye jawaz rahbari az-ibtida ta-intiha mumkin nahin shisha koi chur ho jae to phir kis kaam ka mit ke ho aabaad aiwan-e-wafa mumkin nahin aap patthar ko nichoden is se kya hasil 'matin' tang-dil insan ho haq-ashna mumkin nahin