sharik-e-haal-e-dil-e-be-qarar aaj bhi hai

sharik-e-haal-e-dil-e-be-qarar aaj bhi hai
kisi ki yaad meri gham-gusar aaj bhi hai

mujhe to kal bhi na tha un par ikhtiyar koi
aur un ko mujh pe wahi ikhtiyar aaj bhi hai

teri taraf se zuhur-e-karam nahin na sahi
tere karam ka mujhe e'tibar aaj bhi hai

wo rasm-e-shauq kahan ab magar ye aalam hai
ki jaise dil ko tera intizar aaj bhi hai

kisi ka naqsh-e-kaf-e-pa to ab kahan lekin
nishan-e-sajda sar-e-rahguzar aaj bhi hai

wo un ka gham ki nigahen badal chuka 'akhtar'
kamal-e-shauq ka parwardigar aaj bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close