aadmi bhi aadmi ka raazdan hota nahin be khabar rahta hai lekin bad-guman hota nahin zahmaten yaksan makan-o-la-makan se kya hua kya khalaon se pare bhi aasman hota nahin hum ki khud rah-raw bhi hain rahbar bhi hain rahzan bhi hain wan pahunchte hain jahan par karwan hota nahin badh gae ikhwan-e-yusuf se ye ikhwanus-safa phenk dete hain wahan jis ja kuan hota nahin hai jarahat-afrin darman-e-dard-e-la-dawa shoala karta hai sharar-bari dhuan hota nahin husn-e-be-parda harif-e-tab-e-nazzara nahin ho nazar ke samne lekin ayan hota nahin marg-e-be-hangam apne shahr ka mamul hai log mar jate hain koi nauha-khwan hota nahin jo bhi ho jis haal mein hai zindagi us ko aziz jaan-e-jaan kahne se kuchh jaan-e-jahan hota nahin be-ada-kari bhi khamoshi se mar jate hain log yan pe koi khel mirza saheban hota nahin