batae deti hai be-puchhe raaz sab dil ke nigah-e-shauq kisi ki nigah se mil ke nikale hausle maqtal mein apne bismil ke nisar tegh ke qurban aise qatil ke main us pe sadqe jo jae kisi ki yaad mein jaan kisi ko chahe main qurban jaun us dil ke badi adaon se li jaan apne kushte ki hazar bar main qurban apne qatil ke ghubar-e-qais nahin hai to kaun hai laila koi to hai ki jo phirta hai gird mahmil ke wo phut bahne mein mashshaq hain ye rone mein rahenge dab ke na aankhon se aable dil ke mahaar-e-naqa-e-laila tu khinch le ai aah hata de dast-e-talab badh ke parde mahmil ke wo dil mein hain magar aankhon se dur hain 'bedam' pada hua hun main pyasa qarib sahil ke