aadmi khud ko ajab rang mein duba dekhe hont tishna hon magar aankh mein dariya dekhe zist karne ke liye umr bahut thodi hai apni duniya se alag kya koi duniya dekhe dasht-e-tanhai mein ab lams-e-judai bhi nahin aaina-gar se kaho apna tamasha dekhe shahr-ashob mein mahtab-sifat koi to ho zindagi bit rahi hai koi chehra dekhe aakhiri marka-e-shab mein jo bach jae use ye zaruri to nahin subh ka tara dekhe mustaqil hijr ne aankhon ka hunar chhin liya kaun ab taq mein khurshed ko jalta dekhe aisa mumkin to nahin phir bhi ye ji chahta hai main na ghar lautun to shab bhar koi rasta dekhe