badan-sarab na dariya-e-jaan se milta hai to phir ye khwab-kinara kahan se milta hai ye dhup chhanw salamat rahe ki tera suragh hamein to saya-e-abr-e-rawan se milta hai hum ahl-e-dard jahan bhi hain silsila sab ka tumhaare shahr ke aashuftagan se milta hai jahan se kuchh na mile to bhi faede hain bahut hamein ye naqd usi aastan se milta hai faza hi sari hui surkh-ru to hairat kya ki aaj rang-e-hawa gul-rukhan se milta hai bichhad ke khak hue hum to kya zara dekho ghubar ja ke usi karwan se milta hai