pahchan zindagi ki samajh kar main chup raha apne hi phenkte rahe patthar main chup raha lamhe andhere dasht mein pite rahe mujhe mujh mein tha raushni ka samundar main chup raha mere lahu ke rang ka aisa asar hua munsif se bolta raha khanjar main chup raha bojhal udas raat thi khamosh thi hawa phulon ki aag mein jala bistar main chup raha 'asrar' kyun kisi se main karta shikayaten wo aakhiri tha rah ka patthar main chup raha