aakhiri waqt hai aakhiri sans hai zindagi ki hai sham aakhiri aakhiri sang-dil aa bhi ja ab khuda ke liye lab pe hai tera nam aakhiri aakhiri kuchh to aasan hoga adam ka safar un se kahna tumhein dhundhti hai nazar nama-bar tu khudara na ab der kar de de un ko payam aakhiri aakhiri tauba karta hun kal se piyunga nahin mai-kashi ke sahaare jiyunga nahin meri tauba se pahle magar saqiya sirf de ek jam aakhiri aakhiri mujh ko yaron ne nahla ke kafna diya do ghadi bhi na biti ki dafna diya kaun karta hai gham tutte hi ye dam kar diya intizam aakhiri aakhiri jite-ji qadr meri kisi ne na ki zindagi bhi meri bewafa ho gai duniya walo mubarak ye duniya tumhein kar chale hum salam aakhiri aakhiri