ghataon ki udasi pi raha hun main ek gahra samundar ban gaya hun teri yaadon ke angaron ko aksar tasawwur ke labon se chumta hun koi pahchanne wala nahin hai bhare bazar mein tanha khada hun mera qad kitna uncha ho gaya hai falak ki wusaton ko napta hun wo yun mujh ko bhulana chahte hain ki jaise main bhi koi hadisa hun badalte mausamon ki diary se tere bare mein aksar puchhta hun mere kamre mein yaaden so rahi hain main sadkon par bhatakta phir raha hun ubharte dubte suraj ka manzar bason ki khidkiyon se dekhta hun kisi ki yaad ke patton ko 'azar' hawaon se bacha kar rakh raha hun