aae mashriq se shahsawar bahut kis ko tha un ka intizar bahut qafilon ki koi khabar si nahin dur uthta raha ghubar bahut subh hone tak us ne jaan na di umr bhar tha khud-ikhtiyar bahut phir koi saneha hua hoga mehrban kyun hain gham-gusar bahut kyun hai har zarra karbala-manzar hai hamein un pe e'tibar bahut ho gai sab ke aage ruswai kis hunar par tha iftikhar bahut