zara sa shar tha agar khair se nikal jata talluqat ka mafhum hi badal jata koi sunahri kiran roz hum bana lete ye barf hota hua shahr kuchh pighal jata kisi shajar pe mohabbat se hath rakh dete to ghonslon pe musallat azab tal jata tane se tek lagae manate sham-e-wafa to raat raat mein sara darakht phal jata main sabz bel ke manind phailti har su safed unche sutunon pe mera bal jata tere nafis amame ke pech yun khulte musafiron ke liye saeban mein dhal jata kapas chunti hui aurten sukhi hotin jahan jahan ye zamin hai kisan ka hal jata gharon mein phailti jati mohabbaton ki mahak mughairat ka dhuan khud-ba-khud nikal jata hum ek dusre ki baat rakh liya karte ye rakh-rakhaw sabhi fasle nigal jata