aae the tere shahr mein kitni lagan se hum mansub ho sake na teri anjuman se hum bezar aa na jaen gham-e-jaan-o-tan se hum apne watan mein rah ke bhi hain be-watan se hum yun be-rukhi se pesh na aa ahl-e-dil ke sath uth kar chale na jaen teri anjuman se hum ye sar-kashi junun nahin pindar-e-ishq hai guzre hain dar se bhi usi bankpan se hum mehr-o-mah-o-nujum ki manind roz-o-shab har jaur-e-asman pe rahe khanda-zan se hum milte hain roz dast-e-saba se payam-e-gul zindan mein bhi qarib hain ahl-e-chaman se hum 'shair' adab ke mohtasibon ko khabar nahin kya kaam le rahe hain taghazzul ke fan se hum