aaj ki shab jaise bhi ho mumkin jagte rahna koi nahin hai jaan ka zamin jagte rahna qazzaqon ke dasht mein jab tak qafila thahre qafile walo raat ho ya din jagte rahna tariki mein lipti hui pur-haul khamoshi is aalam mein kya nahin mumkin jagte rahna aahat aahat par jaane kyun dil dhadke hai koi nahin atraf mein lekin jagte rahna thandi hawaon ka ai dil ehsan na uthana koi yahan hamdard na mohsin jagte rahna rah-numa sab dost hain lekin ai ham-safro dost ka kya zahir kya baatin jagte rahna taron ki aankhen bhi bojhal bojhal si hain koi nahin ab 'shair' tujh-bin jagte rahna