aaega koi chal ke khizan se bahaar mein sadiyan guzar gai hain isi intizar mein chhidte hi saz-e-bazm mein koi na tha kahin wo kaun tha jo bol raha tha sitar mein ye aur baat hai koi mahke koi chubhe gulshan to jitna gul mein hai utna hai khar mein apni tarah se duniya badalne ke waste mera hi ek ghar hai mere ikhtiyar mein tishna-labi ne ret ko dariya bana diya pani kahan tha warna kisi reg-zar mein masruf gorkan ko bhi shayad pata nahin wo khud khada hua hai qaza ki qatar mein